Tujhe Kya Sunaau Mai Dilruba
Tere Saamane Mera Haal Hai
Teri Ik Nigaah Ki Baat Hai
Meri Zindagi Ka Savaal Hai
Tujhe Kya Sunaau Mai Dilruba
Meri Har Kushi Tere Dam Se Hai
Meri Zindagi Tere Gam Se Hai
Meri Har Kushi Tere Dam Se Hai
Meri Zindagi Tere Gam Se Hai
Tere Dard Se Rahe Bekhabar
Mere Dil Ki Kab Ye Mazal Hai
Teri Ik Nigaah Ki Baat Hai
Meri Zindagi Ka Savaal Hai
Tujhe Kya Sunaau Mai Dilruba
Tere Husn Par Hai Meri Nazar
Mujhe Subah Shaam Ki Kya Khabar
Tere Husn Par Hai Meri Nazar
Mujhe Subah Shaam Ki Kya Khabar
Meri Shaam Hai Teri Justaju
Meri Subah Tera Khayal Hai
Tujhe Kya Sunaau Mai Dilruba
Mere Dil Jigar Me Sama Bhi Ja
Mere Dil Jigar Me Sama Bhi Ja
Rahe Kyu Nazar Ka Bhi Fasala
Mere Dil Jigar Me Sama Bhi Ja
Rahe Kyu Nazar Ka Bhi Fasala
Ke Tere Bagair O Jaan-e-jaa
Mujhe Zindagi Bhi Muhaal Hai
Tujhe Kya Sunaau Mai Dilruba
Tere Saamane Mera Haal Hai
Teri Ik Nigaah Ki Baat Hai
Meri Zindagi Ka Savaal Hai
Tujhe Kya Sunaau Mai Dilruba
Tujhe Kya Sunau Ai Dilruba, Tere Samne Mera Haal Hai Song Lyrics from the movie/album Aakhri Dao released in the year 2018 starring Shekhar, Nutan. The song Tujhe Kya Sunau Ai Dilruba, Tere Samne Mera Haal Hai was sung by Mohammed Rafi. This movie/album was directed by Mahesh Kaul. The music was given by Madan Mohan. The lyrics were Penned by Majrooh Sultanpuri
Share your thoughts