Tufaan sa jor hai ham me
Bijli sa shor hai ham me
Are baadalo ko chir ke jaana hai
Har pyare ko pyar se bharna hai
Samundar sa josh hai ham me
Hosho sa hosh hai ham me
Dharti pe chaand ko laana hai
Har pyare ko pyar se bharna hai
Pichhe ke raste mitate huwe aage nikal jaayenge
Chalte chalte saare jahaan ko apni dhun pe nachaayenge
Bawander si jaan hai ham me
Parindo si udaan hai ham me
Aasmaan ko chhu kar aana hai
Har pyare ko pyar se bharna hai
Jhukte nahi hai ham kisi ke aage yeh tum jaan lo
Ham sa nahi hai koyi jahan me baat yeh maan lo
Chattano sa ruab hai ham me
Irade bhi thos hai ham me
Bijli se aankh milaana hai
Har pyare ko pyar se bharna hai
Arre tufaan sa jor hai ham me
Bijli sa shor hai ham me
Baadalo ko chir ke jaana hai
Har pyare ko pyar se bharna hai
Samundar sa josh hai ham me
Hosho sa hosh hai ham me
Dharti pe chaand ko laana hai
Har pyare ko pyar se bharna hai
Pyar se bharna hai

