Tu Kya Jaane Tujhamein Kya Hai Lyrics | Haadsaa | Kishore Kumar | Kalyanji Anandji

Tu Kya Jaane Tujhamein Kya Hai Lyrics | Haadsaa | Kishore Kumar | Kalyanji Anandji

Are tu kya jaane tujhme kya hai
Teri muhabbat mera khuda hai
Husn kayaamat chaal kayaamat
Gaal pe bikhare baal kayaamat
Chalti firati aafat ho tum
Aafat pe dil mera fida hai
Tu hai jameen pe suni hai jannat
Kaun kare abb usase mohabbat
Khuda pareshan tujhko bana ke
Husn-e-khudaayi tujhme basa ke
Phir na banegi tujhsi haseena
Saara husn toh tujhme bhara hai

Teri shakl jab usne banaayi
Pyaar ki khushbu hawa me aayi
Jhum uthe sab nashe me baadal
Nashe me main bhi ho gaya paagal
Jhume nashe me chaand aur taare
Meri tarah tere pyaar ke maare
Suraj ke dil me aag hai teri
Ishq me tere woh bhi jala hai

Haath me tera haath rahe toh duniya se takara sakta hu
Noch ke suraj chaand sitaare iss dharti pe la sakta hu
Dur na hona dil se laga ke
Rakh dunga warna duniya jala ke
Tere bina main ji na sakunga
Teri mohabbat mera khuda hai

Are tu kya jaane tujhme kya hai
Teri muhabbat mera khuda hai
Teri muhabbat mera khuda hai
Teri muhabbat mera khuda hai
Teri muhabbat mera khuda hai
Teri muhabbat mera khuda hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *