Also Read: 15 Most Popular Desh Bhakti Songs Lyrics & Videos Of All Time
Talvaron Pe Sar Vaar Diye
Angaaron Mein Jism Jalaya Hai
Tab Jaake Ke Kahin Humne Sar Pe
Yeh Kesari Rang Sajaaya Hai
Aye Meri Zameen Afsoss Nahi
Jo Tere Liye Sau Dard Sahe
Mehfooz Rahe Teri Aan Sada
Chahe Jaan Meri Yeh Rahe Na Rahe
Aye Meri Zameen Mehboob Meri
Meri Nas Nas Mein Tera Ishq Bahe
Pheeka Na Pade Kabhi Rang Tera
Jismon Se Nikal Ke Khoon Kahe
Teri Mitti Mein Mil Jawaan
Gul Banke Main Khill Jawaan
Itni Si Hai Dil Ki Aarzoo
Teri Nadiyon Mein Beh Jawaan
Teri Kheton Mein Lehrawaan
Itni Si Hai Dil Ki Aarzoo
Sarson Se Bhare Khalihaan Mere
Jahaan Jhoom Ke Bhagra Paa Na Saka
Aabad Rahe Woh Gaaon Mera
Jahaan Laut Ke Wapas Jaa Na Saka
Ho Watna Ve, Mere Watna Ve
Tera Mera Pyar Nirala Tha
Kurbaan Hua Teri Asmat Pe
Main Kitna Naseebon Wala Tha
Teri Mitti Mein Mil Jawaan
Gul Banke Main Khil Jawaan
Itni Si Hai Dil Ki Aarzoo
Teri Nadiyon Mein Beh Jawaan
Teri Kheton Mein Lehrawaan
Itni Si Hai Dil Ki Aarzoo
O Heer Meri Tu Hansti Rahe
Teri Aankh Ghadi Bhar Nam Na Ho
Main Marta Tha Jis Mukhde Pe
Kabhi Uska Ujaala Kam Na Ho
O Mai Meri Kya Fikar Tujhe
Kyun Aankh Se Dariya Behta Hai
Tu Kehti Thi Tera Chaand Hoon Main
Aur Chand Hamesha Rehta Hai
Teri Mitti Mein Mil Jawaan
Gul Banke Main Khil Jawaan
Itni Si Hai Dil Ki Aarzoo
Teri Nadiyon Mein Beh Jawaan
Teri Kheton Mein Lehrawaan
Itni Si Hai Dil Ki Aarzoo.
Teri Mitti Song Lyrics from the movie/album Kesari released in the year 2020 starring Akshay Kumar, Parineeti Chopra. The song Teri Mitti was sung by B Praak. This movie/album was directed by Anurag Singh. The music was given by Arko Pravo Mukherjee. The lyrics were Penned by Manoj Muntashir. The music rights for song purely belongs to Zee Music Company
Share your thoughts