Teri Aankhon Ke Sivaa Duniyaa Men Rakhaa Kyaa Hai Lyrics | Chirag | Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi | Madan Mohan

Teri aankho ke siva duniya me rakha kya hai

Ye uthe subah chale ye jhuke sham dhale
Mera jina mera marna inhi palako ke tale

Palko ki galiyo me chaehre baharo ke haste huye
Hai mere khwabo ke kya kya nagar inme bate huye
Palko ki galiyo me chaehre baharo ke haste huye
Ye uthe subah chale ye jhuke sham dhale
Mera jina mera marna inhi palako ke tale
Teri aankho ke siva duniya me rakha kya hai

Inme mere ane wale jamane ki tasvir hai
Chahat ke kajal se likhi hui meri takdir hai
Inme mere ane wale jamane ki tasvir hai
Ye uthe subah chale ye jhuke sham dhale
Mera jina mera marana inhi palako ke tale
Teri aankho ke siva duniya me rakha kya hai
Ye uthe subah chale ye jhuke sham dhale
Mera jina mera marana inhi palako ke tale
Teri aankho ke siva duniya me rakha kya hai
Teri aankho ke siva duniya me rakha kya hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *