Tere Paas Aa Ke Mera Waqt Guzar Jata Hai
Tere Paas Aa Ke Mera Waqt Guzar Jata Hai
Do Ghadi Ke Liye Gham Jane Kidhar Jata Hai
Jab Kabhi Dur Se Tumujhko Nazar Aata Hai
Pyaar Hans Kar Meri Aankho Me Sanwar Jata Hai
Tere Paas Aa Ke Mera Waqt Guzar Jata Hai
Tu Wahi Hai Jise Is Dil Ne Sadaye Di Hai
Tu Wahi Hai Jise Iss Dil Ne Sadaye Di Hai
Tu Wahi Hai Jise Nazro Ne Duaaye Di Hai
Tu Wahi Hai Ke Jo Dil Le Ke Mukar Jata Hai
Do Ghadi Ke Liye Gham Jane Kidhar Jata Hai
Tere Paas Aa Ke Mera Waqt Guzar Jata Hai
Jaam Itne Teri Masti Bhari Aankho Se Piye
Jaam Itne Teri Masti Bhari Aankho Se Piye
Bekhudi Me Tujhe Sajde Meri Nazro Ne Kiye
Tere Jalwo Me Khuda Mujhko Nazar Aata Hai
Pyar Hans Kar Meri Aankho Me Sanwar Jata Hai
Tere Paas Aa Ke Mera Waqt Guzar Jata Hai
Teri Yaado Se Mai Ghabra Ke Chali Aati Hu
Teri Yaado Se Mai Ghabra Ke Chali Aati Hu
Mai Har Ek Qaid Ko Thukra Ke Chali Aati Hu
Mai Nahi Aati Mujhe Pyar Idhar Lata Hai
Pyar Hans Kar Meri Aankho Me Sanwar Jata Hai
Do Ghadi Ke Liye Gham Jane Kidhar Jata Hai
Tere Pas Aa Ke Mera Waqt Guzar Jata Hai
Tere Paas Aa Ke Mera Waqt Gujar Jata Hai Song Lyrics from the movie/album Neela Akash released in the year 2018 starring Dharmendra, Mala Sinha. The song Tere Paas Aa Ke Mera Waqt Gujar Jata Hai was sung by Mohammed Rafi, Asha Bhosle. This movie/album was directed by Rajendra Bhatia. The music was given by Madan Mohan. The lyrics were Penned by Raja Mehdi Ali Khan
Share your thoughts