Tere hatho me
Apni zindagi ka saaz dete hai
Chale aao bhari mehfil se
Hum aawaz dete hai
Raat bhar humko na uthne diya
Maykhane se
Kabhi aankho se pilaai
Kabhi paymane se
Kabhi aankho se pilaai
Kabhi paymane se
Haye kya rang hai
Kya mastiya ranayi hai
Aaj jannat
Meri aankho me utar aayi hai
Jab kiya hai kabhi
Jannat ka tasavvur humne
Jab kiya hai kabhi
Jannat ka tasavvur humne
Teri tasvir ubhar aayi hai paymane se
Teri tasvir ubhar aayi hai paymane se
Kabhi aankho se pilaai
Kabhi paymane se
Na bhari bazm se darte ho
Na ghabrate ho
Kaise nadan ho
Juda man se lipat jate ho
Bekhudi me
Kisi daman se lipatne ka maja
Bekhudi me
Kisi daman se lipatne ka maja
Jake puchho
Kisi bahke hue diwane se
Jake puchho
Kisi bahke hue diwane se
Kabhi aankho se pilaai
Kabhi paymane se
Jaam may hi to
Jaruri nahi jeene ke liye
Kisne majbur kiya hai tumhe
Peene ke liye
Tauba karne hi chale the
Ke rukhe roshan par
Tauba karne hi chale the
Ke rukhe roshan par
Chha gayi kaali ghata
Julf bikhar jane se
Chha gayi kaali ghata
Julf bikhar jane se
Kabhi aankho se pilaai
Kabhi paymane se
Tumne jab bhi
Rukhe maasum pe dali najre
Humne sharma ke
Sare bazm jhuka li najre
Teri jhukti hui najro ka
Ishara to kar
Teri jhukti hui najro ka
Ishara pakar
Humne takra diya paymane ko
Paymane se
Humne takra diya paymane ko
Paymane se
Kabhi aankho se pilaai
Kabhi paymane se

