Tan fukta hai dil jalta hai
Jab paav jami pe dharta hu
Ek saans ka rishta baki hai
Na jeeta hu na marta hu
Tan fukta hai
Jab dil ki dunia basti thi
Tab khushi bhi ji ko hoti thi
Wo basti bas kar ujad gayi
Ab khushi ke nam se darta hu
Tan fukta hai
Jab naaz tha mujhko kismat par
Has has ke dunia milti thi
Ab dost kinara karte hai
Jab paas se unke gujarta hu
Tan fukta hai
Ummid gayi arman lute
Dil khak hua phir bhi ab tak
Kyu aansu umade aate hai
Kyu thandi aahe
Kyu thandi aahe bharta hu
Tan fukta hai

