Swapn Se Saanidhya Mera Lyrics | Chand Ke Saath | Hariharan | Sudeep Banerjee

Swapn se saanidhya mera, swapn se abhisaar mera – (2)
Swapn hi manjil hai meri – (2)
Swapn hi vyaapaar mera
Swapn se saanidhya mera, swapn se abhisaar mera – (2)

Main diwa swapnon ka pranayi, swapn mere sakha sehchar – (2)
Swapn hi meri dharohar – (2)
Swapn hi sansaar mera
Swapn se saanidhya mera, swapn se abhisaar mera – (2)

(Iss rupehale swapn ko apana banaana chaahata hoon
Swapn ki iss reeti ka main geet gaana chaahata hoon) – (2)
Swapn jo bhi bha gaye unako dhara par la chuka hoon
Aaj tak anginat sapane – (2)
Main swayam apana chuka hoon
Swapn se saanidhya mera, swapn se abhisaar mera – (2)

(Swapn ko apana banaana swapn ko ati paas laana
Swapn ka abhishek kar uss swapn ko puja banaana) – (2)
Iss kala mein main nipunata jagat ko dikhala chuka hoon
Iss tarah main kayi sapane – (2)
Ji chuka hoon ga chuka hoon
Swapn se saanidhya mera, swapn se abhisaar mera – (2)
Swapn hi manjil hai meri -2 swapn hi vyaapaar mera
Swapn se saanidhya mera, swapn se abhisaar mera – (2)

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *