Suno Sunate Aaj Tumhe Hum
Nehru Ji Ki Amar Kahani Nehru Ji Ki Amar Kahani
Chhodi Jisne Is Dharti Par
Chhodi Jisne Is Dharti Par
Karam Yog Ki Amit Nishani Nehru Ji Ki Amar Kahani
Maa Ne Ratan Jawahar Paya Moti Ko Ek Lal Mila
Athrah Solwa Si Chaudah November
Suraj Ke Sang Uday Hua
Yug Yug Jiye Mera Raja
Sabke Muh Se Nikli Vani
Nehru Ji Ki Amar Kahani
Aayu Abhi The Pandarh Keval Chala Vilayat Padhne Ko
Desh Prem Le Lauta Par Wo Rajniti Me Padhne Ko
Padi Gulami Ki Janjire Tod Dalne Ki Thani
Nehru Ji Ki Amar Kahani
Aazadi Ka Mol Hai Kya
Guru Mantar Ye Gandhi Ji Se Paya
Satya Ahinsa Shanti Pyar Aur Manwata Ko Apnaya Dekh
Kisano Ka Morcha Ye Hui Angrejo Ko Hairani
Nehru Ji Ki Amar Kahani
Pandarh August San Saintalish Aazad Tiranga Lahraya
Apne Hi Hatho Nehru Ne Lal Kile Par Fahraya
Aayi Kaam Sahido Ki Aakhir Me Ek Din Kurbani
Nehru Ji Ki Amar Kahani
Sabka Ho Adhikar Barabar Parja Tantar Ki Neev Dhari
Panch Sheel Ki Bani Yojna
Naye Kam Se Bhari Padi
Rakhwala Ban Majduro Par Rakhi Sachi Nigrani
Nehru Ji Ki Amar Kahani
Etam Ke Yug Me Bhi Jisne Shanti Ka Jhanda Lahraya
Yudh Nahi Hoga Apas Me Pyar Se Sabko Samjhaya
Sabhi Desho Ne Khule Hariday Se
Baat Jawahar Ki Mani Nehru Ji Ki Amar Kahani
Dharti Kaapi Aakash Hila Sahma Samir Yug Badal Gaya
Panch Tatar Se Bana Di Ye Panch Tatav Me Sawar Gaya
Pighal Gaya Himgir Ka Kaleja Bilakh Padi Ganga Maharani
Bilakh Padi Ganga Maharani Jis Dharti Ne Apni God Me
Nehru Ko Tha Janam Diya Ab Thi Rakh Us Mitti Ko De
Rin Se Uske Urin Hua Amar Katha Ye Gata Rahega
Triveni Ka Paran Pani Triveni Ka Paran Pani
Suno Sunate Aaj Tumhe Hum Nehru Ji Amar Kahani Song Lyrics from the movie/album Vidyarthi released in the year 2018 starring Trideep, Surekha. The song Suno Sunate Aaj Tumhe Hum Nehru Ji Amar Kahani was sung by Mohammed Rafi. This movie/album was directed by Talib Hussain. The music was given by Babu Singh. The lyrics were Penned by Madhukar Bihari
Share your thoughts