Sun baalam tori sun baalam tori
Ankhiya kare batiya ankhiya kare batiya
Sun baalam tori sun baalam tori
Ankhiya kare batiya ankhiya kare batiya
Baanwari samjhe hai baanwari samjhe hai
Mohe chede ha chede ye do sakhiya
Ankhiya kare batiya
Laaj ke maare mar mar jaau
Man hi man tose raas rachaau
Aa ek pal mose nain ladaaye duje pal dekho nain churaaye
Aisa khel khele ha khele ye do sakhiya
Ankhiya kare batiya
Sun baalam tori sun baalam
Tori ankhiya kare batiya
Sone sajanwaa mai balihaari
Dekh teri surat matwaari
Sone sajanwaa mai balihaari
Sone sajanwaa mai balihaari
Baanwari kar de mohe chede ha chede ye do sakhiya
Ankhiya kare batiya
Sun baalam baalam sun baalam
Sun baalam baalam

