(Hawa Ke Jhonke Aaj Mausamon Se Ruth Gaye
Gulon Ki Shokhiyaan Jo Bhanwre Aake Loot Gaye
Badal Rahi Hai Aaj Zindagi Ki Chaal Zara
Issi Bahane Kyun Naa Main Bhi Dil Ka Haal Zara
Sanwaar Loon Haaye Sawaar Loon – 2) – 2
Baramade Puraane Hain Nayi Si Dhup Hai
Jo Palke Khatkhata Raha Hai Kiska Roop Hai
Shararatein Kare Jo Aise Bhulke Hijab
Kaise Usko Naam Se Main Pukar Loon
Sawaar Loon Sawaar Loon – 2
(Yeh Saari Koyalein Bani Hain Aaj Daakiyan
Kuhoo Kuhoo Me Chitthiyan Padhe Mazakiyaan) – 2
Inhe Kaho Ki Naa Chhupaaye Kisne Hai Likha Bataaye
Uski Aaj Main Nazar Utaar Loon
Sawaar Loon Haaye Sawaar Loon
Sawaar Loon Sawaar Loon
Hawa Ke Jhonke Aaj Mausamon Se Ruth Gaye
Gulon Ki Shokhiyaan Jo Bhanwre Aake Loot Gaye
Badal Rahi Hai Aaj Zindagi Ki Chaal Zara
Issi Bahane Kyun Naa Main Bhi Dil Ka Haal Zara
Sawaar Loon Song Lyrics from the movie/album Lootera. The song Sawaar Loon was sung by Monali Thakur. The music was given by Amit Trivedi. The lyrics were Penned by Amitabh Bhattacharya
Share your thoughts