Roj Rato Ke Parde Girakar Lyrics | Kanoon Ki Zanjeer | Shabbir Kumar, Kavita Krishnamurthy

Roj Rato Ke Parde Girakar Lyrics | Kanoon Ki Zanjeer | Shabbir Kumar, Kavita Krishnamurthy

Roz raato ke parde gira kar
Roz raato ke parde gira kar
Jagu mai teri tasveer leke
Ke mai dekhu tujhe jab bhi chahu
Dusra aur koi na dekhe
Roz raato ke parde gira kar

Maine mana ki bijli nahi tu
Na tu suraj sa kirne lutaye
Aadmi hai magar phir bhi tujhko
Aadmi hai magar phir bhi tujhko
Koi dekhe to dekha na jaye
Koi tujhko chura le na mujhse
Jagu mai teri tasveer leke
Roz raato ke parde gira kar

Jab bhi kajal lagati hu jaanam
Naam tera hi likhti hu dil pe
Jab bhi kajal lagati hu jaanam
Naam tera hi likhti hu dil pe
Ho lat sawaru to ye puchti hai
Kab mai bikhrungi saajan se milke
Ab to aaja kahi se tu aaja
Jagu mai teri tasveer leke
Roz raato ke parde gira kar

Kal talak maine raate gujari
Mahjabino ki baho ke niche
Din ko bhatka kiya daali daali
Har kali aur har gul ki piche
Ab tera sirf tera diwana
Jaagu me teri tasveer leke
Roz raato ke parde gira kar
Jagu mai teri tasveer leke
Ke mai dekhu tujhe jab bhi chahu
Dusra aur koi na dekhe
Roz raato ke parde gira kar
Roz raato ke parde gira kar

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *