Rang Aur Nur Ki Baaraat Kise Pesh Karun Lyrics | Gazal | Mohammed Rafi | Madan Mohan

Rang Aur Nur Ki Baaraat Kise Pesh Karun Lyrics | Gazal | Mohammed Rafi | Madan Mohan

Rang aur nur ki baaraat kise pesh karu
Ye muraado ki hasi raat kise pesh karu
Kise pesh karu
Rang aur nur ki baaraat kise pesh karu
Ye muraado ki hasi raat kise pesh karu
Kise pesh karu

Maine jazbaat nibhaaye hai usulo ki jagah
Maine jazbaat nibhaaye hai usulo ki jagah
Apne aramaan piro laaya hu phulo ki jagah
Tere sehare ki
Tere sehare ki ye saugaat kise pesh karu
Ye muraado ki hasi raat kise pesh karu
Kise pesh karu

Ye mere sher mere aakhiri nazrane hai
Ye mere sher mere aakhiri nazrane hai
Mai un apno mai hu jo aaj se begaane hai
Bet-aa-luk si mulaakaat kise pesh karu
Ye muraado ki hasi raat kise pesh karu
Kise pesh karu

Surkh jode ki tabotaab mubaarak ho tujhe
Surkh jode ki tabotaab mubaarak ho tujhe
Teri aankho kaa naya khvab mubaarak ho tujhe
Ye meri khvahish
Ye khayalat kise pesh karu
Ye muraado ki hasi raat kise pesh karu
Kise pesh karu

Kaun kahta hai ke chahat pe sabhi kaa haq hai
Kaun kahta hai ke chahat pe sabhi kaa haq hai
Tu jise chaahe tera pyaar usi kaa haq hai
Mujhse kah de
Mujhse kah de mai tera haath kise pesh karu
Ye muraado ki hasi raat kise pesh karu
Kise pesh karu
Rang aur nur ki baaraat kise pesh karu
Ye muraado ki hasi raat kise pesh karu
Kise pesh karu
Kise pesh karu
Kise pesh karu

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *