Pyar Me Hum Se Tum Lyrics | Kiski Biwi | Shailendra Singh | Vijay Batalvi

Pyar Me Hum Se Tum Lyrics | Kiski Biwi | Shailendra Singh | Vijay Batalvi

Pyaar me
Pyaar me
Pyaar me humse tum jaane kya kah gaye
Rang bhari vaadiyon me phul jaise khil gaye
Mere yaar pyaar kar
Mere yaar pyaar kar
Hum idhar
Hum idhar
Hum idhar kho gaye tum udhar kho gaye
Dil se dil yun mile hum ek ho gaye
Etbaar yaar kar
Etbaar yaar kar
Pyaar me
Pyaar me

Do dilo ka ye milan dekhta hai ye gagan
Jhumti hai ye zamin
Hans raha hai ye chaman
Do dilo ka ye milan dekhta hai ye gagan
Jhumti hai ye zamin
Hans raha hai ye chaman
Kyu ho pareshaan tum
Kyu ho pareshaan tum aisi bhi kya baat hai
Hum tumhaare hai sanam ye janmo ka saath hai
Intzaar yaar kar
Intzaar yaar kar
Pyaar me
Pyaar me

Khwaab ban ke aaye the aaj hakikat bane
Jisme do the hum magar aaj ek jaa bane
Khwaab ban ke aaye the aaj hakikat bane
Jisme do the hum magar aaj ek jaa bane
Tu hai saaz pyaar ka
Tu hai saaz pyaar ka main teri aawaz hun
Tu hai meri raazda
Main tera humraaz hun
Bekaar yun na kar
Bekaar yun na kar
Pyaar me
Pyaar me

Aao tum sang chalo is jaha se na daro
Ye hai umar pyaar ki
Aise aanhe na bharo
Aao tum sang chalo is jaha se na daro
Ye hai umar pyaar ki
Aise aanhe na bharo
Tum ho mere humsafar
Tum ho mere humsafar
Dar hai kis baat ka
Saath jiye sath mare wada raha aaj ka
Etbaar yaar kar
Etbaar yaar kar
Pyaar me
Pyaar me
Pyaar me humse tum jaane kya kah gaye
Rang bhari vaadiyon me phul jaise khil gaye
Mere yaar pyaar kar
Mere yaar pyaar kar
Hum idhar
Hum idhar
Hum idhar kho gaye tum udhar kho gaye
Dil se dil yun mile hum ek ho gaye
Etbaar yaar kar
Etbaar yaar kar

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *