Pyar Ka Paaras Paas Tumhare
Chhuke Mujhe Tum Kanchan Kardo
Pyar Ka Paaras Paas Tumhare
Chhuke Mujhe Tum Kanchan Kardo
Registaan Hai Jeevan Mera
Registaan Hai Jeevan Mera
Roop Ka Isme Sawan Bhardo
Pyar Ka Paaras Paas Tumhare
Chhuke Mujhe Tum Kanchan Kardo
Do Moti Jo Sagar De De
Sagar Ka Kya Ghat Jayega
Di Taare Jo Ambar De De
Ambar Ka Kya Ghat Jayega
Pyaar Ke Do Pal De Kar Mujhko
Pyaar Ke Do Pal De Kar Mujhko
Jeevan Van Ko Chandan Kardo
Pyar Ka Paaras Paas Tumhare
Chhuke Mujhe Tum Kanchan Kardo
Maang Rahe Ho Tum Do Moti
Main Bin Maange Sagar De Du
Do Taaron Ki Baat Ye Kya Hai
Main Tumhe Sara Ambar De Du
Dal Do Saya Apna Mujh Par
Dal Do Saya Apna Mujh Par
Man Ko Mere Darpan Kardo
Pyar Ka Paaras Paas Tumhare
Chhuke Mujhe Tum Kanchan Kardo
Registaan Hai Jeevan Mera
Roop Ka Isme Sawan Bhardo
Pyar Ka Paaras Paas Tumhare
Chhuke Mujhe Tum Kanchan Kardo
Pyar Ka Paras Paas Tumhare Song Lyrics from the movie/album Nai Imarat released in the year 2018 starring Parikshat Sahni, Vidya Sinha. The song Pyar Ka Paras Paas Tumhare was sung by Chandrani Mukherjee, Yesudas. This movie/album was directed by Ram Pahwa, Sharad Batra. The music was given by Bappi Lahiri. The lyrics were Penned by Indeevar
Share your thoughts