Pyaar Kee Pyaas, Pyaar Kee Pyaas Lyrics | Pyar Ki Pyas | Mohammed Rafi, Lata Mangeshkar | Vasant Desai

Pyaar Kee Pyaas, Pyaar Kee Pyaas Lyrics | Pyar Ki Pyas | Mohammed Rafi, Lata Mangeshkar | Vasant Desai

Pyaar ki pyaas
Pyaar ki pyaas
Kya dharti aur kya aakash
Kya dharti aur kya aakash
Sabko pyaar ki pyaas
Pyaar ki pyaas
Pyaar ki pyaas

Sarita ko sagar ki pyaas
Saagar me laharo ka vaas
Sarita ko sagar ki pyaas
Saagar me laharo ka vaas
Laharen uth-uth jaana chaahe
Punam ke chanda ke paas
Man se man ko har jivan ko
Man se man ko har jivan ko
Ek aas vishvas
Pyaar ki pyaas

Kya dharti aur kya aakash
Kya dharti aur kya aakash
Sabko pyaar ki pyaas
Pyaar ki pyaas

Laakho taaro ki aankhe
Raat ko bhar-bhar aati hain
Bhor bhaye toh kaliyo par
Shabanam ban jhar jaati hai
Paran kaa patjhad pal-pal dhundhe
Paran kaa patjhad pal-pal dhundhe
Jivan kaa madhumas
Pyaar ki pyaas

Kya dharti aur kya aakash
Kya dharti aur kya aakash
Sabko pyaar ki pyaas
Pyaar ki pyaas

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *