Apne liye jeeye to zamane me kya jeeye
Jeena wahi hai jo ho kisi aur ke liye
Kaun raha hai kaun rahega
Duniya aani jani
Rahta naam usi ka
Jisne di ho kuch kurbani
Kaun raha hai kaun rahega
Duniya aani jani
Rahta naam usi ka
Jisne di ho kuch kurbani
Mard wahi jo julm ke aage
Sar na kabhi jhukaye
Mard wahi jo julm ke aage
Sar na kabhi jhukaye
Jo auro ke sukh ki khatir
Apni jaan lutaye
Bhul sakega kaise koi
Uski yaad suhani
Rahta naam usi ka
Jisne di ho kuch kurbani
Kaun raha hai kaun rahega
Duniya aani jani
Rahta naam usi ka
Jisne di ho kuch kurbani
Soch na tune kurbani ka
Kya badla hai paya
Soch na tune kurbani ka
Kya badla hai paya
Yahi bahut hai tu duniya me
Kaam kisi ke aaya
Baccha baccha kahega ek din
Teri prem kahani
Rahta naam usi ka
Jisne di ho kuch kurbani
Kaun raha hai kaun rahega
Duniya aani jani
Rahta naam usi ka
Jisne di ho kuch kurbani

