Parabato pe baadalo ki zulf khul ga_i
Os jagamagaa_i shaakh shaakh dhul ga_i
Jaage nazaare jaagi bahaare jaage zami aasamaa
Aur ham tum aur ham tum aur ham tum
Thadi havaa_e ujali fizaa_e mahakaa hu_aa ye samaa
Aur ham tum
Gaataa hai mausam gaate hai pachhi gaati hai ye vaadiyaa
Aur ham tum
Phul ki ko_i kiran jo chumane lagi
Zindagi bahaar ban ke jhumane lagi
Raaho me rago aur khushbu_o ke nikale hasi kaaravaa
Aur ham tum
Ho ga_i hai reshami ye narm roshani
Saans me ghulaa hu_aa hai git saa ko_i
Kho_i dishaa_e kho_i hai raahe kho_e hai saare nishaa
Aur ham tum

