Paise Ki Pahchaan Yahaan Insaan Ki Qimat Koyi Nahi
Bach Ke Nikal Ja Is Basti Me Karta Mohabbat Koyi Nahi
Biwi Bahan Maa Beti Na Koyi Paise Ka Sab Rishta Hai
Biwi Bahan Maa Beti Na Koyi Paise Ka Sab Rishta Hai
Aankh Ka Aansu Khun Jigar Ka Mitti Se Bhi Sasta Hai
Mitti Se Bhi Sasta Hai
Sabka Teri Jeb Se Naata Teri Zururat Koyi Nahi
Bach Ke Nikal Ja Is Basti Me Karta Mohabbat Koyi Nahi
Shokh Gunaaho Ki Ye Mandi Mitha Zahar Jawaani Hai
Shokh Gunaaho Ki Ye Mandi Mitha Zahar Jawaani Hai
Kahte Hai Imaan Jise Wo Kuchh Noto Ki Kahaani Hai
Kuchh Noto Ki Kahaani Hai
Bhukh Hai Mazhab Is Duniya Ka Aur Haqiqat Koyi Nahi
Bach Ke Nikal Ja Is Basti Me Karta Mohabbat Koyi Nahi
Zindagi Kya Hai Chiz Yahaan Mat Puchh Aankh Bhar Aati Hai
Zindagi Kya Hai Chiz Yahaan Mat Puchh Aankh Bhar Aati Hai
Raat Me Karti Byaah Kali Wo Bewa Subah Ho Jaati Hai
Bewa Subah Ho Jaati Hai
Aurat Ban Kar Is Kuche Me Rahti Aurat Koyi Nahi
Bach Ke Nikal Ja Is Basti Me Karta Mohabbat Koyi Nahi
Karta Mohabbat Koyi Nahi
Paise Ki Pahachaan Yahaan Song Lyrics from the movie/album Pehchan released in the year 2018 starring Manoj Kumar, Babita. The song Paise Ki Pahachaan Yahaan was sung by Mohammed Rafi. This movie/album was directed by Sohanlal Kanwar. The music was given by Shankar Jaikishan. The lyrics were Penned by Neeraj
Share your thoughts