Paan Beeda Chabau Lyrics | Paapi Sansar | Hemlata | Madan Chander

Paan Beeda Chabau Lyrics | Paapi Sansar | Hemlata | Madan Chander

Paan beeda chabaaun
Na main surma lagaaun
Paan beeda chabaaun
Na main surma lagaaun
Naina kaale hai honth laal laal rasiya
Hai jawani ka sara kamaal rasiya
Hai jawani ka sara kamaal rasiya
Paan beeda chabaaun
Na main surma lagaaun
Paan beeda chabaaun
Na main surma lagaaun
Naina kaale hai honth laal laal rasiya
Hai jawani ka sara kamaal rasiya
Hai jawani ka sara kamaal rasiya

Main gurjarti hun jidhar
Shor hota hai udhar
Main gurjarti hun jidhar
Shor hota hai udhar
Laal banduk me hai
Maal sanduk me hai
Dil me khatre se dare
Chor chori na kare
Shaam se subah talak
Meri jhapke na palak
Man me hoti hai kasak
Choli jaati hai masak
Man me hoti hai kasak
Choli jaati hai masak
Pallu seene se dhale
Jor koi na chale
Tan badan khaul uthe
Aaina bol uthe
Kya nahi tujhko khabar
Hai wahi teri umar
Kya nahi tujhko khabar
Hai wahi teri umar
Teri umar
Jisko kehte hai solva saal rasiya
Hai jawani ka sara kamaal rasiya
Hai jawani ka sara kamaal rasiya

Paan beeda chabaaun
Na main surma lagaaun
Paan beeda chabaaun
Na main surma lagaaun

Tere baalo me taki motiyon ki hai ladi
Meri aankho me chhupi aansuo ki hai jhadi
Dhadke dil ghadi ghadi
Sochun main khadi khadi
Main bhi dulhan thi bani
Ek suhagan thi bani
Ye hasi raat bhi thi
Aai baaraat bhi thi
Dulha lobhi tha sakhi
Baap ne shart rakhi
Maamle badhne lage
Dost fir ladne lage
Gira dulhan ka pita
Jal uthi uski chita
Ek tufaan hua
Ghar bhi shashaan hua
Koi bhi tha na puchhne haal rasiya
Hai jawani ka sara kamaal rasiya
Hai jawani ka sara kamaal rasiya

Paan beeda chabaaun
Na main surma lagaaun
Paan beeda chabaaun
Na main surma lagaaun

Aesh ki chaah nahi
Gam ki parwaah nahi
Jeene ka jikar nahi
Marne ki fikar nahi
Tuti zanzeer hun main
Futi takdeer hun main
Fir bhi dushman ke liye ek shamsheer hun main
Zehar ka ghunt piya
Khud ko beparda kiya
Tune kya jaan liya
Mujhko pehchaan liya
Katal karna hai mujhe
Lena badla hai mujhe
Tune tha dhokha diya
Main hai mauka diya
Waar karti hun khud ko sambhaal
Hai jawani ka sara kamaal rasiya
Hai jawani ka sara kamaal rasiya

Paan beeda chabaaun
Na main surma lagaaun
Paan beeda chabaaun
Na main surma lagaaun
Naina kaale hai honth laal laal rasiya
Hai jawani ka sara kamaal rasiya
Hai jawani ka sara kamaal rasiya

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *