Kyon chalati hai pavan
Kyon jhume hai gagan
Kyon machalta hai mann
Na tum jano na ham
Na tum jano na ham
Kyon aati hai bahar
Kyon lutata hai karar
Kyon hota hai pyar
Na tum jano na ham
Na tum jano na ham
Yeh madhoshiya yeh tanhaiya
Tassabur me hai kiski parchhaiya
Yeh bhiga samaan umange jawan
Mujhe ishq le ja raha hai kaha
Kyon gum hai har disha
Kyon hota hai nasha
Kyon aata hai maja
Na tum jano na ham
Na tum jano na ham
Dhadakta bhi hai tadapta bhi hai
Yeh dil kyon achanak bahkta bhi hai
Mahakta bhi hai chahakta bhi hai
Yeh dil kya vafa ko samajhta bhi hai
Kyon milati hai najar
Kyon hota hai asar
Kyon hoti hai sahar
Na tum jano na ham
Na tum jano na ham
Kyon chalati hai pavan
Kyon jhume hai gagan
Kyon machalta hai mann
Na tum jano na ham
Kyon aati hai bahar
Kyon lutata hai karar
Kyon hota hai pyar
Na tum jano na ham
Na tum jano na ham

