Na Zulm Na Zalim Ka Lyrics  | Hukumat | Rati Agnihotri, Sadashiv Amrapurkar | Alka Yagnik, Kavita Krishnamurthy | Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)

Zulm karne se bura hain
Zulm sahan karana
Dar ke jeene se achchha hain
Samane ladake marna
Naa zulm naa zalim
Kaa adhikar rahega
Duniya mein kuchh rahega
Toh bas pyar rahega

Utha ke milake neend se
Tum sabko jaga do
Iss hath se uss hath ko
Tum sath mila do
Sachchayi se tum jhuth
Ki buniyad hila do
Aur waqt ki aawaaz se
Aawaaz mila do
Janta ke hath mein
Hi ikhtiyar rahega
Duniya mein kuchh rahega

Naa aadami kaa aadami gulam rahega
Naa seena zori aur naa intakam rahega
Bure kaa naa aagaj naa anjam rahega
Jo baki raha toh kuda kaa naam rahega
Kuda kaa nam raha toh sansar rahega
Duniya mein kuchh rahega.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *