Dilshad tha ke phul khilenge bahar mein
Mara gaya garib isi aitbar mein
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
Agar tufan nahi aata
Kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
Agar tufan nahi aata
Kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
Na tha manzur kismat ko
Na thi marzi baharo ki
Nahi to is gulistan mein
Nahi to is gulistan mein
Kami thi kya nazaro ki
Meri najaro ko bhi koi nazara mil gaya hota
Agar tufan nahi aata
Kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
Khushi se apni aankho ko main ashko se bhigon leta
Mere badle tu has legi
Mere badle tu has legi
Tere badle main ro leta
Mujhe ae kash tera dard sara mil gaya hota
Agar tufan nahi aata
Kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
Mili hai chandni din ko
Yeh unki apni kismat hai
Mujhe apne muqaddar se
Mujhe apne muqaddar se
Faqat itni shikayat hai
Mujhe tuta hua koi sitara mil gaya hota
Agar tufan nahi aata
Kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota

