Mujhe Le Chalo Aaj Phir Us Gali Men Lyrics | Sharabi | Mohammed Rafi | Madan Mohan

Mujhe Le Chalo Aaj Phir Us Gali Men Lyrics | Sharabi | Mohammed Rafi | Madan Mohan

Mujhe le chalo
Aaj phir us gali me
Jaha pahle-pahle
Ye dil ladkhdaya
Vo duniya
Vo meri mohabbat ki duniya
Jaha se mai betabiya leke aaya
Mujhe le chalo

Jaha so rahi hai meri zidagani
Jaha chhod aaya mai apni javani
Vaha aaj bhi ek chokhat pe taza
Mohabbat ke sajdo ki hogi nishani
Mohabbat ke sajdo ki hogi nishani
Mujhe le chalo

Vo duniya jaha uski naqsh-e-kadam hai
Vahi meri khushiya
Vahi mere gam hai
Mai le aaunga khak us rahguzar ki
Ke us rahguzar ki to zare sanam hai
Ke us rahguzar ki to zare sanam hai
Mujhe le chalo

Vaha ek rangin chilman ke pichhe
Chamkta huya uska
Rukasar hoga
Basa lunga aankho me vo roshani mai
Yuhi kuch ilaj-e-dil-e-zaar ho
Yuhi kuch ilaj-e-dil-e-zaar ho
Mujhe le chalo
Aaj phir us gali me
Jaha pahle-pahle
Ye dil ladkhdaya
Vo duniya
Vo meri mohabbat ki duniya
Jaha se mai betabiya leke aaya
Mujhe le chalo

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *