Mere Samnewalee Khidkee Me Lyrics | Dil Vil Pyar Vyar | Abhijeet | R D Burman

Mere Samnewalee Khidkee Me Lyrics | Dil Vil Pyar Vyar | Abhijeet | R D Burman

Mere samnewali khidki me
Ek chand ka tukda rehta hai
Mere samnewali khidki me
Ek chand ka tukda rehta hai
Afsos ye hai ke wo hamse
Kuchh ukhda ukhda rehta hai
Mere samnewali khidki me
Ek chand ka tukda rehta hai

Jis roj se dekha hai usko
Ham shamma jalana bhul gaye
Jis roj se dekha hai usko
Ham shamma jalana bhul gaye
Dil thamke aise baithe hai
Kahi aana jana bhul gaye
Ab aath paher in aankho me
Wo chanchal mukhda rehta hai
Mere samnewali khidki me
Ek chand ka tukda rehta hai
Mere samnewali khidki me
Ek chand ka tukda rehta hai

Barsat bhi aakar chali gayi
Badal bhi garajkar baras gaye
Barsat bhi aakar chali gayi
Badal bhi garajkar baras gaye
Par usaki ek jhalak ko ham
Ai husn ke malik taras gaye
Kab pyas bujhegi aankho ki
Din rat ye dukhda rehta hai
Mere samnewali khidki me
Ek chand ka tukda rehta hai
Mere samnewali khidki me
Ek chand ka tukda rehta hai
Afsos ye hai ke wo hamse
Kuchh ukhda ukhda rehta hai
Mere samnewali khidki me
Ek chand ka tukda rehta hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *