(Mere Andhere Ghar Me
Chand Ek Aaya) – (2)
Meri Amawas Ne Achanak
Pyara Punam Ka Paya
Mere Andhere Ghar Me
Chand Ek Aaya
(Iske Sang Hai Shayad
Mera Koi Purana Nata) – (2)
Warna Ye Anjan Khilona
Kaise Is Ghar Aata
Dunia Ke Data Ne Dekho
Fir Se Hamko Milaya
(Mere Andhere Ghar Me
Chand Ek Aaya) – (2)
(Har Muskil Aasan Bana Di
Isne Mere Ghar Aake) – (2)
Hotho Par Muskan Khila Di
Isne Mujhe Apnake – 2
Sab Dukh Bhul Gayi Mai Apne
Jab Se Isko Paya
(Mere Andhere Ghar Me
Chand Ek Aaya) – (2)
(Ji Karta Hai Isko Apni Sari
Umar De Dalu) – (2)
Ek Janam Me So Janmo Ka
Pyar Isi Se Palu
Mere Dil Ka Hai Ye Tukda
Koi Na Kahna Paraya
(Mere Andhere Ghar Me
Chand Ek Aaya) – (2)
Meri Amawas Ne Achanak
Pyara Punam Ka Paya
Mere Andhere Ghar Me
Chand Ek Aaya
Mere Andhere Ghar Me Song Lyrics from the movie/album Amar Rahe Ye Pyar. The song Mere Andhere Ghar Me was sung by Asha Bhosle. The music was given by C Ramchandra. The lyrics were Penned by Kavi Pradeep
Share your thoughts