Bhulta bhatkta kisi
Manzil ka hu rasta
Zindagi ladi hai leke
Saanso ka ye basta
Kabhi to tabah me
Panaah koi dhundhta
Dum adm sawalo me
Ubharta kabhi dubta
Zindagi bataye na
Kya jeene ka salikha hai
Baksh de salamati
Yaha bhi koi jeeta hai
Maula maula
Maula maula
Maula tere meher ki
Meharbaani baaki hai
Jal gaye ujaale kaisi
Aag kisne phoonki hai
Zindgi jali hai maula
Zindgi jali hai
Bach gayi hai jo sulgte
Rooh ki ye baati hai
Maula maula
Maula maula
Sikke umeedo ke rakhe
Nanhe khawabo ne
Layenge kahrid ke ye
Duniya baato baato me
Ho gaya sab khatm kyu
Baad buzdil kyu kehta hai
Aakhri mauke ke baad
Ek aur mauka rehta hai
Teri maujudgi kabhi to
Tu bhi darj kar
Geet gungunau main bhi to
Kabhi to teri darz par
Maula maula
Maula maula
Maula tere meher ki
Meharbaani baaki hai
Jal gaye ujaale kaisi
Aag kisne phoonki hai
Zindgi jali hai maula
Zindgi jali hai
Bach gayi hai jo sulgte
Rooh ki yeh baati hai
Maula maula
Maula maula

