Matwala Sawan Aaya Masti Ka Mausam Laya
Jhum Jhum Ke Dil Mera Gane Laga
Papiha Pi Pi Bole Kano Me Ras Ghole
Sanso Me Pyar Gungunane Laga Gungunane Laga
Oho Ho Matwala Sawan Aaya
Chede Hai Kisne Murli Ki Dhun Faili Jo Thirkan Sanso Me
Rang Anokhe Bhar Diye Kisne Bholi Bhali Adao Me
Koyal Bela Mastana Hoga Tera Diwana
Dur Dur Se Jisko Ye Bulane Laga
Oho Ho Matwala Sawan Aaya
Chalke Gagariya Barse Badariya Fir Bhi Najariya Pyasi Kyu
Tu Pyasi Hai Pi Ke Milan Ki Samjhe Na Bat Jara Si Kyu
Ye Thandi Thandi Aahe Khoi Khoi Nigahe
Kahti Hai Koi Tadpane Laga Oho Ho Matwala Sawan Aaya
Chalana Sambhal Ke Lut Na Jaye Prem Nagar Ki Raho Me
Aaj Kisi Par Mar Mitne Ki Chah Jagi Hai Nigaho Me
Ye Lachki Lachki Dale Ye Bahki Bahki Chale
Tan Man Mera Dagmagane Laga
Tan Man Mera Dagmagane Laga
Papiha Pi Pi Bole Kano Me Ras Ghole
Sanso Me Pyar Gungunane Laga
Oho Ho Matwala Sawan Aaya Matwala Sawan Aaya
Matwala Savan Aaya Masti Ka Mausam Laya Song Lyrics from the movie/album Shree Ganesh released in the year 2018. The song Matwala Savan Aaya Masti Ka Mausam Laya was sung by Suman Kalyanpur. The music was given by Bulo C Rani
Share your thoughts