Main Yun Hi Guzar Deta Lyrics  | Moods Of Anup Jalota | Anup Jalota | Anup Jalota | Anup Jalota

Main Yun Hi Guzar Deta Lyrics | Moods Of Anup Jalota | Anup Jalota | Anup Jalota | Anup Jalota

Main yun hi guzar deta
Shab-e-gham sambhal sambhal ke
Main yun hi guzar deta
Shab-e-gham sambhal sambhal ke
Tumhein kya mila bata do
Meri zindagi badal ke
Main yun hi guzar deta
Shab-e-gham sambhal sambhal ke

Bade bewafa hain aansoo
Sar-e-bazm aaj chalke
Bade bewafa hain aansoo
Sar-e-bazm aaj chalke
Meri arzoo ko loota
Meri chashm-e-nam mein pal ke
Main yun hi guzar deta
Shab-e-gham sambhal sambhal ke

Kisi be-sahaara dil
Ko na satao is tarah se
Kisi be-sahaara dil
Ko na satao is tarah se
Kehin aaha kar na baithe
Koi bad-naseeb jal ke
Main yun hi guzar deta
Shab-e-gham sambhal sambhal ke

Main isi liye keencha hun
Ke unhein bhi aaye gussa
Main isi liye keencha hun
Ke unhein bhi aaye gussa
Woh ulat de kaash pardah
Meri be-rukhi pe jal ke
Main yun hi guzar deta
Shab-e-gham sambhal sambhal ke
Tumhein kya mila bata do
Meri zindagi badal ke
Main yun hi guzar deta
Shab-e-gham sambhal sambhal ke
Sambhal sambhal ke
Sambhal sambhal ke

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *