Main Tujhse Pyaar Nahin Karta Lyrics  | Baby | Akshay Kumar, Taapsee Pannu | Angaraag Mahanta (Papon) | M. M. Keeravani

Main Tujhse Pyaar Nahin Karta Lyrics | Baby | Akshay Kumar, Taapsee Pannu | Angaraag Mahanta (Papon) | M. M. Keeravani

Main tujhse pyar nahi karta
Main tujhse pyar nahi karta
Par koi aisi sham nahin
Jab main apni tanhai mein
Tera intezar nahin karta

Main tujhse pyaar nahin karta
Dil se ye kehta rehta hoon
Par teri saanson mein chhup ke
Main saansein leta rehta hoon
Is se inkaar nahin karta
Main tujhse pyaar nahin karta

Mujhe kuch bhi yaad nahi rehta
Kab din dooba, kab raat hui
Abhi kal ki baat hai
Pehron tak meri deewaaron se baat hui
Jo hosh zaraa sa baaqi hai
Lagta hai khone waala hoon
Afwaah udi hai yaaron mein
Main paagal hone waala hoon
Main tujhse pyaar nahin karta

Main tujhse pyaar nahi karta
Main tujhse pyaar nahi karta
Par aisa koi din hai kya?
Jab yaad tuje teri baaton ko
Sau-sau baar nahi karta
Sau-sau baar nahi karta.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *