Mai Raat Ko Uth Uth Roti Hu Lyrics | Khiladi | Suraiya | Hansraj Behl

Mai Raat Ko Uth Uth Roti Hu Lyrics | Khiladi | Suraiya | Hansraj Behl

Mai raat ko uth uth roti hu
Jab sara zamana sota hain
Wo bhulne wala
Wo bhulne wala kya jane
Is dard me kya kya hota hain
Wo bhulne wala

Dil uska bhi hain mera bhi
Dil uska bhi hain mera bhi
Barbad hain ye aabad hain wo
Ye kaisi do rangi dunia hain
Ek hasta hain ek rota hain
Wo bhulne wala
Wo bhulne wala kya jane
Is dard me kya kya hota hain
Wo bhulne wala

Dunia to mita dali meri
Dunia to mita dali meri
Ab kahti hain dil se yad teri
Jo chiz thi jani wo to gayi
Ab jan bhala kyu khota hain
Wo bhulne wala
Wo bhulne wala kya jane
Is dard me kya kya
Haye kya kya hota hain
Wo bhulne wala

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *