Yeh bhanwara, madhuban me mat ja re bhanwara, madhuban me mat ja
Abhee kamal kee kali khilee naa – (2)
Too kyun gunj raha re bhanwara – (2)
Madhuban me mat ja re bhanwara, madhuban me mat ja
Rup rang kaa lobhi rasiya – (2)
Sab ke gun mat ga o rasiye, sab ke gun mat ga
Neh laga le ek kali se – (2)
Kali kali mat ja re bhanware – (2)
Madhuban me mat ja re bhanwara, madhuban me mat ja
Kis karan too pad gaya kala – (2)
Itani bat bata o rasiya, itani bat bata
Udana sikha nahee kali ne – (2)
Man me dhiraj la re bhanwara – (2)
Madhuban me mat ja re bhanwara, madhuban me mat ja