Maati Ke Jalte Deepak Ki Jyot Lyrics | Khoon Khoon | Mohammed Rafi | Vijay Singh

Maati Ke Jalte Deepak Ki Jyot Lyrics | Khoon Khoon | Mohammed Rafi | Vijay Singh

Maati ke jalte deepak ki
Jyot to ek din bujh jani hai
Jo kuch dekha or suna jo
Wo bas ek kahani hai
Maati ke jalte deepak ki
Jyot to ek din bujh jani hai

Chhod ke aakhir tan ka pinjara
Panchi ne ud jana hai
Parm atma me jakar hi ek din ise samana hai
Lobh na kar tu is dunia ka ye dunia to pani hai
Maati ke jalte deepak ki
Jyot to ek din bujh jani hai

Pap bhara hai man me tere
Zahar bhara teri sanso me
Dunia ki jhuthi maya ne
Dhul bhari teri aankho me
Kadam kadam par is dunia me
Tune thokar khani hai maati ke jalte deepak ki
Jyot to ek din bujh jani hai

Tere bas me kuch nahi pagle
Tere hath se kuch nahi hona
Fenk de apne hatho se ye aag ugalta hua khilona
Tune apne murkh man me
Kaisi jidd ye thani hai
Maati ke jalte deepak ki
Jyot to ek din bujh jani hai
Jo kuch dekha or suna jo
Wo bas ek kahani hai maati ke jalte deepak ki
Jyot to ek din bujh jani hai

Hari om hari om hari om hari om
Hari om hari om hari om hari om

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *