Itni fikar kyun karti hai tu
Itna pyar kyun karti hai
Raat main jab tak ghar nahi aaun
Tab tak yun jagti hai
Maa tu nahi hogi toh bata
Meri kaun kare parwah (x2)
Dard mujhe hota hai par kyun
Aansu tere aate hain
Chot lagi kyun nahi bataya
Isi baat pe daante hai
Mujhse hi bas puche hai kabhi
Apna haal suna
Maa tu nahi hogi toh bataa
Meri kaun kare parwah (x2)
Waqt nahi deta hun tujhko
Yeh meri majboori hai
Haq tera hi pehla hai
Phir bhi tujhse hi doori hai
Door raha hoon tujhse kitna
Mujhko gale se laga
Maa tu nahi hogi toh bataa
Meri kaun kare parwah (x2)
Kam hai waqt yeh mujhko pata hai
Isliye darr lagta hai
Faasle kyun umar ke dekho
Uparwala rakhta hai
Kam hai waqt yeh mujhko pata hai
Isliye darr lagta hai
Kam hai waqt yeh mujhko pata hai
Isliye darr lagta hai
Faasle kyun umar ke dekho
Uparwala rakhta hai
Jab jana ho door akele
Mujhko bhi le jana
Maa tu nahi hogi toh bataa
Meri kaun kare parwah (x2)

