Lo Sahib Phir Bhool Gayi Main Song Lyrics from the movie/album Maati Maangey Khoon released in the year 2015 starring Shatrughan Sinha, Raj Babbar. The song Lo Sahib Phir Bhool Gayi Main was sung by Lata Mangeshkar. This movie/album was directed by Raj Khosla. The music was given by Rahul Dev Burman. The lyrics were Penned by Anand Bakshi

Lo Sahib Phir Bhool Gayi Main Lyrics

Yaado Ke Chand Phool,
Nazar Mein Khile Toh Hai
Pahale Bhi Hamse Aap,
Kahin Par Mile Toh Hai
Lo Sahib Phir Bhul Gayi Main
Ho Lo Sahib Phir Bhul Gayi Main
Yaad Mujhe Kuchh Aaya Tha
Aapko Jane Maine Apna
Konsa Naam Bataya Tha
Lo Sahib Phir Bhul Gayi Main

Khul Gaya Ghunghat Uth Gaya Parda
Mushkil Ab Didar Nahi
Khul Gaya Ghunghat Uth Gaya Parda
Mushkil Ab Didar Nahi
Ab Dekho Ab Beech Mein
Apne Koi Bhi Diwar Nahi
Mera Asali Roop Yahi Hai
Ho Mera Asali Roop Yahi Hai
Wo To Mera Saya Tha
Lo Sahib Phir Bhul Gayi Main
Yaad Mujhe Kuchh Aaya Tha
Lo Sahib Phir Bhul Gayi Main

Kab Tak Jane Sath Hamare
Chhoti Si Yeh Raat Chale
Kab Tak Jane Sath Hamare
Chhoti Si Yeh Raat Chale
Puri Baat Kahe Dil Ki Toh
Barso Tak Ye Baat Chale
Ek Najuk Sa Shisha Tha Jo
Ek Najuk Sa Shisha Tha Jo
Patthar Se Takraya Tha
Lo Sahib Phir Bhul Gayi Main
Yaad Mujhe Kuchh Aaya Tha
Lo Sahib Phir Bhul Gayi Main

Allah Allah Tauba Tauba
Ye Jazbat Haye Haye
Allah Allah Tauba Tauba
Ye Jazbat Haye Haye
Mana Meri Mahfil Mein
Tum Apni Marzi Se Aaye
Aisa Lagta Hai Jaise Ke
Haye Aisa Lagta Hai Jaise Ke
Maine Tumhe Bulaya Tha
Lo Sahib Phir Bhul Gayi Main
Yaad Mujhe Kuchh Aaya Tha
Aapko Jane Maine Apna
Konsa Naam Bataya Tha
Lo Sahib Phir Bhul Gayi Main.

Share your thoughts

Maati maangey khoon, Lata mangeshkar, Maati maange khoon songs, Lata mangeshkar songs, Lo sahib phir bhool gayi mein, Shatrughan sinha songs, Old lata mangeshkar hit songs, Lata mangeshkar hit songs, Lata mangeshkar hits, Yaadon ke chand phool, Hum toh tere aashiq hai lyrics, Hum toh tere aashiq hai with lyrics, Jinke paas haathi ghoda, Raj babbar songs, R d burman songs, R. d. burman songs, Mamta kulkarni, Shankar mahadevan, Koi shahari babu dil lehri babu hai re