Paake Tumhaari Anukampa
Hota Na Bhay Koi Bhi Shanka
Poochh Mein Aag Lagi To
Jala Di Raavan Kee Lanka
Akshay Ko Tha Maar Diya Na Phir Bhi Mujhko Jaan Sake
Pag Rakhte He Lanka Maine Asaron Ke They Pran Bache
Brahma Jee Ke Paash Ko Saumpa Svayan Ko Maine Sun Lankesh
Raam Naam Ke Siva Koi Na Bandhan Mujhko Bandh Sake
Tujhe Laga Kya Meghnath Ne Aakar Mujhko Baandh Diya
Tumse Milne Hetu Maine Avsar Ye Pradaan Kiya
Raamadoot Ka Lo Pranaam Swami Puri Lanka Ke
Vedon Ke Hai Gyaata Kyon Bura Bhala Ye Kaam Kiya
Khud Ko Bhi Sudhaar Saka Na Mahadev Ki Pooja Kar
Pandit Ki Upaadhi Ko Na Svay Mein Bol Ke Ooncha Kar
Balashaali Prataapi Gyaani Vaigyaanik Hai Vaadak Sun
Doot Khada Hai Saamane Na Aasan Ko Bhee Poochha Par
Kuchh Mujhe Tot Bol Raha Par Main Bura Na Maan Gaya
Ahankar Ka Phanda Tera Svayan Tujhe Hee Taang Gaya
Vahi Tujh Mein Vaanar Hoon Jo Lank Nee Ko Hara Gaya
Vahi Tuchchh Mein Vaanar Hoon Jo So Yojan Ko Laang Gaya
Vahi Tujh Main Vaanar Hoon Jo Vaatee Ka Main Kaal Bana
Vahi Tujh Main Vaanar Hoon Jo Raam Naam Kee Dhaal Bana
Asuron Ka Main Kaal Bana Vaar Kara Sanghaar Kara
Vahi Tuchchh Hu Jisko Tera Beta Na Sambhaal Saka
Ek Laute Is Vaanar Ne Tere Shaasan Ko Bhi Hila Diya
Mujhe Daraane Vaala Tera Bhaashan Bhi Hai Daba Diya
Najaron Se Najarein Mila Main Tere Barabar Baitha Hoon
Aage Tere Khud Ko Maine Sinhaasan Bhi Bana Diya
Kesari Nandan Bhakt Raghunandan
Kesari Nandan Bhakt Raghunandan
Deen Dayal Deen Dayal Karun Charan Vandan
Mahaaveer Bajarang Bali Mahaaveer Bajarang Bali
Mahaaveer Bajarang Bali Mahaaveer Bajarang Bali
Kesari Nandan Bhakt Raghunandan
Kesari Nandan Bhakt Raghunandan
Par Raavan To Hatti Tha Vo Kahan Kisi Ki Baat Sune
Har Ke Kisko Laaya Hai Ye Ravan Na Hai Gyaat Tujhe
Janak Dulari Ko Lauta De Ab Bhi Avsar Hai Warna
Kaal Tune Jo Bandha Hai Ye Le Jayega Saath Tujhe
Adhar Tere Jo Shree Raam Ko Van Ka Vasi Kehte Hain
Saadharan Sa Maanav Jinko Lanka Vaasi Kehte Hain
Ek Kshan Mein Hi Harle Praan Sakal Wo Tere Sun
Shukr Mana Wo Van Ke Vaasi Dhairy Bandh Ke Baithe Hain
Swyam Raam Hi Kehte Hain Aajana Tum Dhaam Mere
Kshma Karenge Paapon Ko Ravan Ab To Maan Bhi Le
Hari Hi Dete Avsar Tujhko Pran Harenge Swayam Hari
Aagya Mein Hoon Jhuka Hua Main Varna Le Loo Pran Tere
Lanka Pe Sun Padegi Bhari Har Vanar Ki Chaavani
Ram Naam Ki Jaykaare Se Lanka Teri Kaanpati
Doot Roop Mein Aaye Is Vanar Ki Na Ek Suni
Main Sandhi Karne Aaya Tha Par De Daali Chetavani
Kulhadi Ke Oopar Tu Pair Swayam Ka Dhar Baitha
Ahankaar Jalane Tera Aa Sahi Avsar Baitha
Sath Lagi Hai Chodne Buddhi Teri Ravan
Jo Galti Na Karni Thi Bas Wo Galti Hi Kar Baitha
Jaiakaar Hai Ram Naam Ka Himmat Hai To Aake Rok
Shree Ram Ke Ek Doot Ki Shakti Ko Tu Phir Se Soch
Sparsh Kare Paataal Bhi Taap Teri Is Lanka Ka
Jalti Lanka Ki Leela Ko Dekh Raha Hai Swarg Lok
Laptein Ye Vishaal Khadi Neeche Bhaari Stambh Gire
Jis Gumband Pe Baithun Main Vaar Aag Ka Chhand Gire
Aag Lagi Hai Dekh Mujhe Par Peeda Tujhko Hoti
Khada Dharm Ke Ulta Hai To Kyun Na Tujhko Dand Mile
Asuron Ki Ye Bhaari Toli Teri Sabha Mein Dekh Dara Di Sabha Teri Ye Maine
Ram Naam Se Dekh Hila Di Oonche Swar Mein Bol Rahi Hai Laptein Jalti Lanka Ki
Ravan Apne Hathon Tune Lanka Apne Swayam Jala Di
Jate Jate Ravan Tujhko Ramdoot Ka Itna Kehna
Sita Ji Ko Waapis Karde Tyaago Ye Abhimaani Kehna
Kar Sakta Yadi Lanka Raakh Shree Raam Ka Ek Doot
To Soch Samundar Ke Us Paar Khadi Raam Ki Poori Sena
Tadka Ka Vadh Kiya Tha Chhod Jinhone Ek Hi Baan
Khar Dushan Aur Maarich Ne Bhi Aage Jinke Tyaage Praan
Tucch Samajhne Ki Karta Jinhe Ravan Tu Hai Bhool Badi
Wo Nar Nahin Narayan Hai Jinhe Saka Nahi Hai Tu Pehchaan
Jai Hanuman Gyan Gun Sagar Jai Kapis Tihun Lok Ujaagar
Ramdoot Atulit Baldhaama Anjani Putr Pawan Sut Naama
Mahaveer Vikram Bajarangi Kumat Ni Vaar Sumat Ke Sangi
Kanchan Varan Viraaj Subesa Kaanan Kundal Kunchit Kesa
Honth Mere Sandesh Aapka Swami Tak Pahunchayenge
Dhairya Bandh Ke Rakhna Mata Swami Lene Aayenge
Hath Rakho Nishaani Kuch De Doon Jaake Swami Ko
Dekh Nishaani Lab Swami Ke Mata Muskurayenge
Vanar Sena Kategi Dharm Virodhi Saare Sheesh
Aagya Dedo Jaane Ki Gati Abhi Deni Hai Kheech
Jate Jate Hanuman Ka Itna Hi Bas Kehana Hai
Sar Jhuka Hai Pairon Mein Sath Sada Rakhna Ashish
Deen Dayal Deen Dayal Karun Chran Vandan Mahaveer Bajrangbali
Mahaveer Bajrangbali Mahaveer Bajrangbali Mahaveer Bajrangbali
Kesari Nandan Bhakt Raghunandan Kesari Nandan Bhakt Raghunandan
Lanka Dahan Song Lyrics released in the year 2025. The song Lanka Dahan was sung by Narci, Divya Kumar. The music was given by Xzeus. The lyrics were Penned by Kumar Nigranth, Narci. The music rights for song purely belongs to Narci
Share your thoughts