Kisi Ki Aankh Ke Aansoo Hai Lyrics  | Aaghosh | Gulshan Ara, M. Ismail | Lata Mangeshkar | Roshanlal Nagrath (Roshan)

Kisi Ki Aankh Ke Aansoo Hai Lyrics | Aaghosh | Gulshan Ara, M. Ismail | Lata Mangeshkar | Roshanlal Nagrath (Roshan)

Kisi ki aankh ke aansoo hain,
Sitaare na kaho
Nazar ka dhoka hai tum
Inko nazaare na kaho
Kisi ki aankh ke aansoo hain,
Sitaare na kaho
Nazar ka dhoka hai
Tum inko nazaare na kaho

Ye murawwat hain jo milte hain,
Muhabbat to nahin
Ye murawwat hain jo milte hain,
Muhabbat to nahin
Wo kisi aur ke hain,
Unko hamaare na kaho
Nazar ka dhoka hai,
Tum inko nazaare na kaho
Kisi ki aankh ke aansoo hain,
Sitaare na kaho
Nazar ka dhoka hai tum
Inko nazaare na kaho

Lagi jo thes hi maujon ki
To ye toot pade
Lagi jo thes hi maujon ki
To ye toot pade
Thame thame se ye toofaan hai,
Kinaare na kaho
Nazar kaa dhokaa hai,
Tum inko nazaare na kaho
Kisi ki aankh ke aansoo hain,
Sitaare na kaho
Nazar ka dhoka hai tum
Inko nazaare na kaho.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *