Kisi Gul Ki Ye Kismat Hai
Ke Vo Sehre Me Sajta Hai
Kisi Ko Koi Apne Yar Ki
Turbat Pe Rakhata Hai
Ek Se Phool Gulistan Me Khila Karte Hai
Fir Bhi Har Phool Ki Takdir Juda Hoti Hai
Fir Bhi Har Phool Ki Takdir Juda Hoti Hai
Ek Se Chehre Ek Se Chehre Haye Ek Se Chehre
Yaha Sabko Mila Karte Hai
Fir Bhi Har Chehre Ki Tasver Juda Hoti Hai
Fir Bhi Har Chehre Ki Tasver Juda Hoti Hai
Kafas Me Band Hai Koi To Koi Ashiyane Me
To Koi Ashiyane Me Nahi Dekha Koi
Azad Humne Is Zamane Me To Hamne Is Zamane Me
Jise Bhi Humne Dekha Paresha Hal Dekha
Garaj Ke Har Jagah Pe Bicha Ek Jaal Dekha
Ek Si Kaid Me Sab Log Jiya Karte Hai
Fir Bhi Har Kaidi Ki Zanjeer Juda Hoti Hai
Ek Se Phool Ek Se Phool Gulistan Me Khila Karte Hai
Fir Bhi Har Phool Ki Takdir Juda Hoti Hai
Fir Bhi Har Phool Ki Takdir Juda Hoti Hai
Yahi Sab Ki Kahani Hai Yahi Sab Ka Fasana Hai
Yahi Sab Ka Fasana Hai Koi Dolat Ka Hai Ashiq
Koi Shohrat Ka Diwana Hai Koi Shohrat Ka Diwana Hai
Ese Hasrat Hai Koi Use Arman Koi
Tamannao Se Khali Nahi Insan Koi
Ek Se Khwab Nigaho Me Basa Karte Hai
Fir Bhi Har Khwab Ki Tabir Juda Hoti Hai
Ek Se Phool Ek Se Phool Ek Se Phool
Ek Se Phool Gulistan Me Khila Karte Hai
Fir Bhi Har Phool Ki Takdir Juda Hoti Hai
Fir Bhi Har Phool Ki Takdir Juda Hoti Hai
Fir Bhi Har Phool Ki Takdir Juda Hoti Hai
Fir Bhi Har Phool Ki
Kisi Gul Ki Ye Kismat Hai Ki Vo Sehare Me Sajta Hai Song Lyrics from the movie/album Sanjog released in the year 2018 starring Amitabh Bachchan, Mala Sinha. The song Kisi Gul Ki Ye Kismat Hai Ki Vo Sehare Me Sajta Hai was sung by Mohammed Rafi. This movie/album was directed by S S Balan. The music was given by R D Burman. The lyrics were Penned by Anand Bakshi
Share your thoughts