Kisi Ki Bewafai Ka Sabab Ban Jaya Karati Hai

Mohabbat Hi Judai Ka Mohabbat Hi Judai Ka
Sabab Ban Jaya Karati Hai

Purane Log Chehre Par Naya Chehra Laga Aaye

Mile Gairon Se Haske Apno Se Milte Haya Aaye
Haya Bhi Behayai Ka Haya Bhi Behayai Ka
Sabab Ban Jaya Karati Hai
Kisi Ki Bewafai Ka Sabab Ban Jaya Karati Hai
Bachaya Hai Humari Muflasi Ne Ham Fakiro Ko

Bohat Najdik Se Dekha Hai Humne Kuchh Amiron Ko
Yeh Daulat Har Burayi Ka Yeh Daulat Har Burayi Ka
Sabab Ban Jaya Karati Hai
Kisi Ki Bewafai Ka Sabab Ban Jaya Karati Hai
Bane Na Bat Jab Koi Toh Koi Kuchh Kahe Kaise

Jo Kuchh Kehna Jaruri Ho Toh Insan Chup Rahe Kaise
Yeh Chup Dil Ki Duhayi Ka Yeh Chup Dil Ki Duhayi Ka
Sabab Ban Jaya Karati Hai
Kisi Ki Bewafai Ka Sabab Ban Jaya Karati Hai
Mohabbat Hi Judai Ka Mohabbat Hi Judai Ka
Sabab Ban Jaya Karati Hai
Kisi Ki Bewafai Ka Sabab Ban Jaya Karati Hai
Kisee Kee Bewafai Ka Sabab Song Lyrics from the movie/album Main Awara Hoon released in the year 2018 starring Jaya Prada, Shobha Khote. The song Kisee Kee Bewafai Ka Sabab was sung by Kishore Kumar. This movie/album was directed by Ashim Samanta. The music was given by R D Burman. The lyrics were Penned by Anand Bakshi
Share your thoughts