Kaise Bheege Bheege Lyrics | Apna Ghar | Mohammed Rafi, Suman Kalyanpur | Ravi

Kaise Bheege Bheege Lyrics | Apna Ghar | Mohammed Rafi, Suman Kalyanpur | Ravi

Kaise bheege bheege pyaare hain nazaare
Aao chhed de taraane zara pyaar ke
Dekho kaali kaali ye ghataayen
Chali jaayen na ji hamko pukaar ke
Kaise bheege bheege pyaare hain nazaare

Tum saath raho jo mere
Main raahen nayi bana loon
Teri raahon ke kaanten
Apni palkon se uthaa loon
Tu mera pyaar meri bahaar
Mera singaar sajnaa
Kaise bheege bheege pyaare hain nazaare
Aao chhed de taraane zara pyaar ke
Dekho kaali kaali ye ghataayen
Chali jaayen na ji hamko pukaar ke
Kaise bheege bheege pyaare hain nazaare

Is duniya ki nazron se
Aa door kahin kho jaayen
Ji bhar ke jahaan dil jhoome
Ham geet milan ke gaayen
Saare jag ko chhod
Liya tujh se jod jeewan ye maine apnaa
Kaise bheege bheege pyaare hain nazaare
Aao chhed de taraane zara pyaar ke
Dekho kaali kaali ye ghataayen
Chali jaayen na ji hamko pukaar ke
Kaise bheege bheege pyaare hain nazaare

Ham ik manzil ke raahi
Bichhdenge kabhi na milke
Duniya waale kyaa jaanen
Armaan hamare dil ke
Kaho dil ki baat
Din ho ya raat
Rahoon tere saath sajnaa
Kaise bheege bheege pyaare hain nazaare
Aao chhed de taraane zara pyaar ke
Dekho kaali kaali ye ghataayen
Chali jaayen na ji hamko pukaar ke
Kaise bheege bheege pyaare hain nazaare

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *