Kehte hain chaand jisko
Tumse nahin wo pyara
Dekhe use ye duniya
Mujhko nahin gawara
Kehte hain chaand jisko
Tumse nahin wo pyara
Dekhe use ye duniya
Mujhko nahin gawara
Nazrein jo tum uthaao
Har chiz muskuraye
Palkein jo tum jhukaao
Taaron ko nind aaye
Nazrein jo tum uthaao
Har chiz muskuraye
Palkein jo tum jhukaao
Taaron ko nind aaye
Duniya bhi saath dole
Dhadke jo dil tumhaara
Kehte hain chaand jisko
Tumse nahin wo pyara
Ek baat tumse puchhu
Tum kaun ho hamaare
Dil mein samaa rahe ho
Hum kaun hain tumhaare
Ek baat tumse puchhu
Tum kaun ho hamaare
Dil mein samaa rahe ho
Hum kaun hain tumhaare
Kar do na muskuraake
Halka saa ik ishaara
Kehthe hain chaand jisko
Tumse nahin wo pyara
Saathi agar hasin ho
Kya baat phir safar ki
Manzil udhar ko aayi
Tumne jidhar nazar ki
Saathi agar hasin ho
Kya baat phir safar ki
Manzil udhar ko aayi
Tumne jidhar nazar ki
Dil jab bhi dagmagaya
Tum ban gaye sahara
Kehte hain chaand jisko
Tumse nahin wo pyara
Kehte hain chaand jisko
Tumse nahin wo pyara
Dekhe use ye duniya
Mujhko nahin gawara
Mujhko nahin gawara

