Kabhi Kabhi Yu Bhi Humne Lyrics | Visions (Jagjit Singh) | Jagjit Singh | Jagjit Singh

Kabhi kabhi yuhi humne apne ji ko behlaya hai

Jin baato ko khud nahi samjhe
Auro ko samjhaya hai

Humse puchho izzat walo ki izzat ka haal kabhi
Humse puchho izzat walo
Humne bhi is shehar me rahkar
Thoda naam kamaya hai
Kabhi kabhi yuhi humne apne ji ko behlaya hai

Usse bichhde barso beete lekin aaj na jane kyu

Aangan me hanste baccho ko bekaran dhamkaya hai
Kabhi kabhi yuhi humne apne ji ko behlaya hai

Koi mila to hath milaya
Kahin gaye to baate ki
Koi mila to hath milaya
Kahin gaye to baate ki
Ghar se bahar jab bhi nikle
Din bhar bojh uthaya hai
Kabhi kabhi yuhi humne apne ji ko behlaya hai
Jin baato ko khud nahi samjhe
Auro ko samjhaya hai
Kabhi kabhi yuhi humne apne ji ko behlaya hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *