Justaju jiski thi usko to na paaya hamne
Justaju jiski thi usko to na paaya hamne
Is bahaane se magar dekh li duniya hamne
Justaju jiski thi
Tujhko rusva na kiya
Tujhko rusva na kiya khud bhi pasheman na huye
Ishq ki rasm ko
Ishq ki rasm ko is tarah nibhaaya hamne
Ishq ki rasm ko is tarah nibhaaya hamne
Justaju jiski thi
Kab mili thi kaha bichhadi thi
Kab mili thi kaha bichhadi thi hame yaad nahi
Zindagi tujhko to
Zindagi tujhko to bas khvaab me dekha hamne
Zindagi tujhko to bas khvaab me dekha hamne
Justaju jiski thi
Ai ada
Ai ada aur sunaaye bhi to kya haal apna
Umr ka lamba safar
Umr ka lamba safar tay kiya tanha hamne
Umr ka lamba safar tay kiya tanha hamne
Justaju jiski thi usko to na paaya hamne
Is bahaane se magar dekh li duniya hamne
Justaju jiski thi
| Movie | Umrao Jaan |
| Singer | Asha Bhosle |
| Director | Muzaffar Ali |
| Music Composer | Khayyam |
| Lyricist | Shahryar |
| Star Cast | Rekha, Farooq Sheikh, Naseruddin Shah, Raj Babbar, Shaukat Kaifi, Bharat Bhushan, Satish Shah, Prema Narayan, Dina Pathak, Leela Mishra, Akbar Rashid, Gajanan Jagirdar, Khan Ghizlai, Rita Rani Kaul |

