Jo Main Aisa Jaanti Lyrics | Nakhre | Geeta Dutt | Hansraj Behl

Jo Main Aisa Jaanti Lyrics | Nakhre | Geeta Dutt | Hansraj Behl

Jo main aisa janti
Preet ki ye dukh hoye
Nagar dhandhora pitti
Preet na karyo koye

Koi dil na kisi se lagaye
Phir na pichhe pachhtaye
Jhuthi is duniya ki reet hai
O jhuthi jhuthi pardesiya ki preet hai
Koi dil na kisi se lagaye
Phir na pichhe pachhtaye
Jhuthi is duniya ki reet hai
O jhuthi jhuthi pardesiya ki preet hai

Is duniya me ek tumhi se humne nata joda
Is duniya me ek tumhi se humne nata joda
Aur tumhi ne bhare prem me hi
Humse munh moda
Koi kaise dil ko samjhaye
Apne huye paraye
Koi na jag me saccha meet hai
O jhuthi jhuthi pardesiya ki preet hai

Van ki daali ke patte patjhad ke liye khile the
Van ki daali ke patte patjhad ke liye khile the
Hum bhi to tumse us din
Is din ke liye mile the
Kaahe naino se nain milaye
Ro ro ab nain ganwaye
Haar humari unki jeet hai
O jhuthi jhuthi pardesiya ki preet hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *