Jo hamne daasta apni sunaayi
Aap kyo roye
Jo hamne daasta apni sunaayi
Aap kyo roye
Tabahi to hamare dil pe aayi
Aap kyo roye
Hamara dard-e-gam hai ye
Ise kyo aap sahte hai
Ye kyo aansu hamare
Aap ki aankho se bahte hai
Gamo ki aag hamne khud lagaayi
Aap kyo roye
Jo hamne daasta apni sunaayi
Aap kyo roye
Bahut roye magar ab aapki khaatir na royege
Na apna chain khokar aapka ham chain khoyege
Kayamat aapke ashko ne dhaayi
Aap kyo roye
Jo hamne daasta apni sunaayi
Aap kyo roye
Na ye aansu ruke to dekhiye
Ham bhi ro dege
Ham apne aansuo me chaand taaro ko dubo dege
Fana ho jaayegi saari khudayi
Aap kyo roye
Jo hamne daasta apni sunaayi
Aap kyo roye

