Jane Kaisa Hai Mera Deewana Lyrics  | Aansoo Ban Gaye Phool | Ashok Kumar, Pran | Asha Bhosle, Kishore Kumar | Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)

Jane Kaisa Hai Mera Deewana Lyrics | Aansoo Ban Gaye Phool | Ashok Kumar, Pran | Asha Bhosle, Kishore Kumar | Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)

Jane kaisa hai mera deewana
Kabhi apna sa lage kabhi begana
Jane kaisa hai mera deewana
Kabhi apna sa lage kabhi begana
Badi bholi ho ye bhi na jana
Kabhi apno ko nahi kehte begana
Badi bholi ho

Yu bhi jeeta tha magar
Koyi arman na the
Yu bhi jeeta tha magar
Koyi arman na the
Jab talak aap mere
Dil ke mehman na the
Dil ke mehman na the
Tumse meheka hai mera virana
Kabhi apno ko nahi kehte begana
Jane kaisa hai mera deewana
Kabhi apna sa lage kabhi begana
Jane kaisa hai

Main woh aazad ghata
Tumne jisse bandh liya
Main woh aazad ghata
Tumne jisse bandh liya
Apni aankho mein mujhe
Naya aakash diya
Naya aakash diya
Yahi chhota sa mera afsana
Kabhi apna sa lage kabhi begana
Badi bholi ho ye bhi na jana
Kabhi apno ko nahi kehte begana
Badi bholi ho

Kabhi chhede hai pawan
Kabhi chhede hain piya
Kabhi chhede hai pawan
Kabhi chhede hain piya
Yahi to hoga sanam
Tumne jab pyar kiya
Tumne jab pyar kiya
Mere pas aao chhodo sharmana
Kabhi apno ko nahi kehte begana
Jane kaisa hai mera deewana
Kabhi apna sa lage kabhi begana.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *