Janam din aaya aaya mamta ki jyot jaagi
Janam din aaya aaya mamta ki jyot jaagi
Ke hansti rahe sada yuhi meri chaand taaro ki shahjadi
Rango bhara gudiya ko joda pehnake
Rango bhara gudiya ko joda pehnake
Armaan ki kaliyo se angana sazake
Matwali mamta ne apne dil ki shama jala di
Janam din aaya aaya mamta ki jyot jaagi
Ke hansti rahe sada yuhi meri chaand taaro ki shahjadi
Taaro ka lekar tohfa chanda bhi aaya
Ho taaro ka lekar tohfa chanda bhi aaya
Rani ke layak humne kuchh bhi na paya
Phir nanhi umar pe wari hokar apni umar mila di
Janam din aaya aaya mamta ki jyot jaagi

