Idhar Dekh Mera Dil Lyrics  | Jaali Note | Dev Anand, Madhubala | Asha Bhosle, Shamshad Begum | Omkar Prasad Nayyar

Idhar Dekh Mera Dil Lyrics | Jaali Note | Dev Anand, Madhubala | Asha Bhosle, Shamshad Begum | Omkar Prasad Nayyar

Idhar dekh mera dil
Tera deewana hai
Ye to tera aashiq
Bada puraana hai
Hoy hosh mein
Aa deewaane
Bura zamana hai
Aankh khol kar dekh
Saamne thaana hai
Arre idhar dekh mera
Dil tera deewana hai
Ye to tera aashiq
Bada puraana hai

Hai naaz husn per tujhko
Tu kya mujhko pehchaane
Dil ki keemat kya hoti
Koi dilwaala hi jaane
Apne paas hi rakh jo
Tera khazaana hai
Aankh khol kar dekh
Saamne thaana hai
Hoy idhar dekh mera
Dil tera deewana hai
Ye to tera aashiq
Bada puraana hai

Jab jhoom ke loon angdaayi
Paagal ho jaayen nazaare
Kar doon jo ek ishaara
Dharti per utre taare
Jo chaahe kar gori
Tera zamana hai
Ye to tera aashiq
Bada puraana hai
Hoy hosh mein
Aa deewaane
Bura zamana hai
Aankh khol kar dekh
Saamne thaana hai

Is duniya mein hain laakhon
Maashooq tumhaare jaise
Per kahin kahin milte hain
Gori aashiq ham jaise
Arre jaa re tera
Thikana paagalkhana hai
Aankh khol kar dekh
Saamne thaana hai
Hoy idhar dekh mera
Dil tera deewana hai
Ye to tera aashiq
Bada puraana hai
Hoy hosh mein
Aa deewaane
Bura zamana hai
Aankh khol kar dekh
Saamne thaana hai.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *