Haq Mangate Hai Apne Pasine Ka Lyrics | Baap Bete | Mohammed Rafi | Madan Mohan

Haq Mangate Hai Apne Pasine Ka Lyrics | Baap Bete | Mohammed Rafi | Madan Mohan

Haq mangte hai apne pasine ka
Adhikar hame bhi hai jine ka
Haq mangte hai apne pasine ka
Adhikar hame bhi hai jine ka
Haq mangte hai apne pasine ka

Tum lakh amiro aish karo ham dekh tumhe kab jalte hai
Ham dekh tumhe kab jalte hai
Saye me tumhare mahlo ke lekin kitne gam palte hai
Dekho to nazara aake kabhi gam khane aansu pine ka
Haq mangte hai apne pasine ka
Adhikar hame bhi hai jine ka
Haq mangte hai apne pasine ka

Mehnat pe hamari hi tumne ye shishmahal hai khada kiya
Ye shishmahal hai khada kiya
Tum jinko chota kahte ho in choto ne tumko bada kiya
Kyu saal ke piche chubhta hai phir bonas ek mahine ka
Haq mangte hai apne pasine ka
Adhikar hame bhi hai jine ka
Haq mangte hai apne pasine ka

Tum khud bhi jiyo aur jine do hai mang yahi mazduro ki
Hai mang yahi mazduro ki
Insaaf karo insaf karo ab aah na lo mazduro ki
Shola na kahi bankar bhadke ab tak jo dhua hai sine ka
Haq mangte hai apne pasine ka
Adhikar hame bhi hai jine ka
Haq mangte hai apne pasine ka
Adhikar hame bhi hai jine ka
Haq mangte hai apne pasine ka

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *